vo  jo  dekhe  the  maiñ  ne  kabhī  ḳhvāb  meñ
bah  ga.e  phuul  saare  vo  sailāb  meñ
nā-ḳhudā  kī  jo  niyyat  thī  zāhir  huī
jab  bhī  kashtī  mirī  aa.ī  girdāb  meñ
raaz  ab  tak  kisī  pe  na  ye  khul  sakā
mar  ga.iiñ  machhliyāñ  kaise  tālāb  meñ
jitne  bhī  zaḳhm  the  ḳhud-ba-ḳhud  bhar  ga.e
jab  se  dekhā  hai  ik  daaġh  mahtāb  meñ
ek  muddat  se  ham  un  se  kaT  haiñ  ga.e
tazkire  phir  bhī  hote  haiñ  ahbāb  meñ
apnī  har  baat  'robīna'  had  meñ  rahī
band  haiñ  ham  to  aḳhlāq-o-ādāb  meñ