itnā  bhī  na  saaqī  hosh  rahā  pī  kar  ye  hameñ  mai-ḳhāna  thā
gardish  meñ  hamārī  qismat  thī  chakkar  meñ  tirā  paimāna  thā
mahrūm  thā  soz-e-ulfat  se  jal  jaane  se  begāna  thā
fānūs  ke  andar  sham.a  rahī  bāhar  bāhar  parvāna  thā
mai-ḳhāne  se  ham  ruḳhsat  jo  hue  to  aur  hī  kuchh  mai-ḳhāna  thā
ik  kone  meñ  ḳhum  rakhā  thā  ik  goshe  meñ  paimāna  thā
huuñ  rang-e-mohabbat  se  vāqif  huuñ  soz-e-mohabbat  se  vāqif
gulzār  meñ  bulbul  maiñ  thā  kabhī  mahfil  meñ  kabhī  parvāna  thā
dāman  meñ  jo  chun  kar  rakhtā  thā  sab  jaib-o-garebāñ  ke  TukḌe
hoshyār  vahī  dīvāna  thā  dīvāna  vo  kab  dīvāna  thā