qābil-e-sharh  mirā  hāl-e-dil-e-zār  na  thā
sunñe  vaale  to  bahut  the  koī  ġham-ḳhvār  na  thā
ab  vo  jiine  ke  liye  soch  rahā  hai  tadbīr
apne  hāthoñ  jise  marnā  kabhī  dushvār  na  thā
mujh  se  pūchho  to  qazā  us  kī  hai  maut  us  kī  hai
dosh-e-ahbāb  pe  jo  mar  ke  girāñ-bār  na  thā
chunte  the  baaġh  meñ  aa  aa  kar  unheñ  ahl-e-junūñ
āshiyāñ  kā  mire  tinkā  koī  bekār  na  thā
ye  hamīñ  ne  to  mohabbat  kī  nikālīñ  rasmeñ
aap  par  marne  ko  pahle  koī  tayyār  na  thā
dām-e-sayyād  meñ  āzād  rahā  shikva-e-ġham
maiñ  giraftār  thā  lekin  ye  giraftār  na  thā
ab  unheñ  sāmne  aane  meñ  hai  uzr  ai  'bismil'
milne-julne  se  jinheñ  peshtar  inkār  na  thā