āzār-o-jafā-e-paiham  se  ulfat  meñ  jinheñ  ārām  nahīñ
vo  jiite  haiñ  lekin  un  ko  marne  ke  sivā  kuchh  kaam  nahīñ
aflāk  kī  gardish  se  dam-bhar  duniyā  meñ  hameñ  ārām  nahīñ
vo  din  nahīñ  vo  ab  raat  nahīñ  vo  sub.h  nahīñ  vo  shaam  nahīñ
kyuuñ  ham  ne  mohabbat  kī  un  se  diqqat  meñ  phañse  zahmat  meñ  phañse
āġhāz  hī  meñ  dil  meñ  kahtā  thā  achchhā  us  kā  anjām  nahīñ
is  kā  bhī  alam  us  kā  bhī  qalaq  ye  ġham  bhī  hameñ  vo  ġham  bhī  hameñ
jiine  ko  ġhanīmat  samjhe  the  jiine  meñ  magar  ārām  nahīñ
gulshan  meñ  ḳhizāñ  ab  aa  pahuñchī  mai-ḳhāne  meñ  jī  kyuuñ  kar  bahle
vo  rañg  nahīñ  vo  lutf  nahīñ  vo  daur  nahīñ  vo  jaam  nahīñ
har  saañs  se  aatī  hai  ye  sadā  marne  ke  liye  tayyār  raho
jiine  se  nahīñ  kuchh  dilchaspī  jiine  se  hameñ  kuchh  kaam  nahīñ
qātil  ko  ye  samjhā  de  koī  naale  se  fuġhāñ  se  shevan  se
bismil  na  karūñ  maiñ  ai  'bismil'  to  bismil  merā  naam  nahīñ