Noman Farooq

jaane kyun pyas ki chaukhaT pe wo aa baiTha hai

Noman Farooq

jaane kyuuñ pyaas chaukhaT pe vo aa baiThā hai

maiñ ne har gaam nayā abr jise baḳhshā hai

ek lamhe ko bhī muḌ ke nahīñ dekhā us ne

jaane vaale ko bahut duur talak dekhā hai

ḳhaak se paak libādoñ mahak aatī hai

qāfila dasht ke āñgan meñ khilā kis hai

mo.ajiza us ko kahtī hai ye duniyā shāyad

mujh ko ummīd na thī par vo palaT aayā hai

ik nazar maiñ ne jise pyaar se dekhā 'nomān'

vo parinda mirī dahlīz pe aa baiThā hai

Top Urdushayar.com