Ahmad Zafar

kisi parinde ki wapsi ka safar meri KHak mein milega

Ahmad Zafar

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1926-2001

kisī parinde vāpsī safar mirī ḳhaak meñ milegā

maiñ chup rahūñgā shajar sūrat shajar mirī ḳhaak meñ milegā

udaas āñkheñ sulagte chehroñ mujh ko āvāz de rahī haiñ

kabhī jo ābād rah chukā hai vo ghar mirī ḳhaak meñ milegā

lahū bārish meñ zard phūloñ pattiyoñ se likhā gayā huuñ

maiñ lafz zā.iqa zabāñ par asar mirī ḳhaak meñ milegā

dayār-e-shab ke bhaTakte raahī shikār-e-tashkīk-o-kam-nigāhī

alaav raushan kahīñ jo kar de sharar mirī ḳhaak meñ milegā

azal se sūraj abad meñ talāsh jis ko kartā huā gayā hai

sadaf zamīñ hai to zindagī guhar mirī ḳhaak meñ milegā

vo bastiyāñ jo tabāhiyoñ meñ numū tasvīr ban ga.ī haiñ

vajūd jin kahīñ nahīñ hai magar mirī ḳhaak meñ milegā

maiñ chashm-e-pur-nam mish.aloñ se charāġh-e-fardā jalā rahā huuñ

ki naqsh-e-irfān-o-āgahī bhī 'zafar' mirī ḳhaak meñ milegā

Top Urdushayar.com