Dua Ali

dhum machati rahti hai barish kuchh kuchh kahti hai

Dua Ali

Sindh, Pakistan

dhuum machātī rahtī hai bārish kuchh kuchh kahtī hai
giit sunātī rahtī hai bārish kuchh kuchh kahtī hai
sundar ḳhvāb dikhātī hai jab bhī chhat par jaatī huuñ
maañg sajātī rahtī hai bārish kuchh kuchh kahtī hai
kyā maiñ koī bachchī huuñ kahtī hai maiñ achchhī huuñ
naaz uThātī rahtī hai bārish kuchh kuchh kahtī hai
mere badan se mas ho kar jazboñ se bebas ho kar
saaz bajātī rahtī hai bārish kuchh kuchh kahtī hai
ThanDe ThanDe paanī se būñdoñ kī man-mānī se
aag lagātī rahtī hai bārish kuchh kuchh kahtī hai
mere laboñ par hai ye 'duā' saath mire ho merā piyā
jot jagātī rahtī hai bārish kuchh kuchh kahtī hai
Top Urdushayar.com