Dua Ali

ai dost tu ne war ye bharpur kar diya

Dua Ali

Sindh, Pakistan

ai dost tū ne vaar ye bharpūr kar diyā
pahle qarīb kar ke mujhe duur kar diyā
rahtī huuñ terī yaad meñ mad.hosh raat din
tere surūr-o-kaif ne maḳhmūr kar diyā
kishmish sī nāznīn thī shāḳh-e-badan mirī
chāhat kī āb-o-tāb se añgūr kar diyā
ḳhushbū tire badan kī hai sāñsoñ meñ aaj tak
tū ne milan ke ba.ad to pur-nūr kar diyā
tanhā.ī zindagī kī kaThin ho ga.ī thī yaar
lams-o-surūr baḳhsh ke masrūr kar diyā
mujh ko sharāb-e-ishq pilā ne kī der thī
maiñ ne bhī kā.enāt ko maḳhmūr kar diyā
malba tumhārī yaad kā Dhoyā hai raat din
nāzuk sī ek laḌkī ko mazdūr kar diyā
detī haiñ mujh ko ta.ane mirī sab saheliyāñ
kahtī haiñ tujh ko ishq ne maġhrūr kar diyā
Top Urdushayar.com