ai  dost  tū  ne  vaar  ye  bharpūr  kar  diyā
pahle  qarīb  kar  ke  mujhe  duur  kar  diyā
rahtī  huuñ  terī  yaad  meñ  mad.hosh  raat  din
tere  surūr-o-kaif  ne  maḳhmūr  kar  diyā
kishmish  sī  nāznīn  thī  shāḳh-e-badan  mirī
chāhat  kī  āb-o-tāb  se  añgūr  kar  diyā
ḳhushbū  tire  badan  kī  hai  sāñsoñ  meñ  aaj  tak
tū  ne  milan  ke  ba.ad  to  pur-nūr  kar  diyā
tanhā.ī  zindagī  kī  kaThin  ho  ga.ī  thī  yaar
lams-o-surūr  baḳhsh  ke  masrūr  kar  diyā
mujh  ko  sharāb-e-ishq  pilā  ne  kī  der  thī
maiñ  ne  bhī  kā.enāt  ko  maḳhmūr  kar  diyā
malba  tumhārī  yaad  kā  Dhoyā  hai  raat  din
nāzuk  sī  ek  laḌkī  ko  mazdūr  kar  diyā
detī  haiñ  mujh  ko  ta.ane  mirī  sab  saheliyāñ
kahtī  haiñ  tujh  ko  ishq  ne  maġhrūr  kar  diyā