rātoñ  ko  tasavvur  hai  un  kā  aur  chupke  chupke  ronā  hai
ai  sub.h  ke  taare  tū  hī  batā  anjām  mirā  kyā  honā  hai
in  nau-ras  āñkhoñ  vāloñ  kā  kyā  hañsnā  hai  kyā  ronā  hai
barse  hue  sachche  motī  haiñ  bahtā  huā  ḳhālis  sonā  hai
dil  ko  khoyā  ḳhud  bhī  kho.e  duniyā  khoī  diin  bhī  khoyā
ye  gum-shudagī  hai  to  ik  din  ai  dost  tujhe  bhī  khonā  hai
tam.īz-e-kamāl-o-naqs  uThā  ye  to  raushan  hai  duniyā  par
maiñ  chandan  huuñ  tū  kundan  hai  maiñ  miTTī  huuñ  tū  sonā  hai
tū  ye  na  samajh  lillāh  ki  hai  taskīn  tire  dīvānoñ  ko
vahshat  meñ  hamārā  hañs  paḌnā  dar-asl  hamārā  ronā  hai
mātam  hai  mirī  āvāz  shikast-e-sāz-e-dil-e-sad-pāra  kā
'saġhar'  merā  naġhma  bhī  dīpak  ke  suroñ  meñ  ronā  hai