Saghar Nizami

nadim-e-dard-e-mohabbat baDa sahaara hai

Saghar Nizami

Aligarh, Uttar pradesh, India

1905-1984
nadīm-e-dard-e-mohabbat baḌā sahārā hai
jabhī to ye ġham-e-daurāñ hameñ gavārā hai
zamāna kahtā hai hañgāma-e-hayāt jise
mire hujūm-e-tamannā kā isti.āra hai
jo mere dil ko hai ātish-kada banā.e hue
vo soz un kī nazar kā hī āshkārā hai
akelā chhoḌ ke tūfān ko guzar jaa.e
ye be-ruḳhī mirī kashtī ko kab gavārā hai
na jaane mauj-e-tabassum hai yā koī aañsū
phir un ke hoñT pe betāb ik sitārā hai
majāl-e-ishq kahāñ thī ki ham ko kartā ḳhaak
hameñ to ziist kī pāmāliyoñ ne maarā hai
vafā-e-dost kī mastī nasīb hai 'sāġhar'
jafā-e-dahr faqat is liye gavārā hai
Top Urdushayar.com