Saghar Nizami

phir rah-e-ishq wahi zad-e-safar mange hai

Saghar Nizami

Aligarh, Uttar pradesh, India

1905-1984
phir rah-e-ishq vahī zād-e-safar māñge hai
vaqt phir qalb-e-tapāñ dīda-e-tar māñge hai
sajde maqbūl nahīñ bārgah-e-nāz meñ ab
āstāñ husn kā sajde nahīñ sar māñge hai
kis ne pahuñchā diyā us hosh-rubā vaadī meñ
ki jahāñ vahshat-e-dil zād-e-safar māñge hai
merī duniyā ke taqāzoñ hī pe mauqūf nahīñ
diin bhī ek nayā fikr-o-nazar māñge hai
ishq ko zāviya-e-dīd badalnā hogā
jalva-e-husn nayā zauq-e-nazar māñge hai
sab kī āñkhoñ se bachā kar jo kabhī luuTe the
vaqt har chor se vo la.al-o-gohar māñge hai
diin o duniyā ho ki ho ishq o havas ai 'saġhar'
har koī ḳhūn-e-jigar ḳhūn-e-jigar māñge hai
Top Urdushayar.com