ab  to  maz.hab  koī  aisā  bhī  chalāyā  jaa.e
jis  meñ  insān  ko  insān  banāyā  jaa.e
jis  kī  ḳhushbū  se  mahak  jaa.e  paḌosī  kā  bhī  ghar
phuul  is  qism  kā  har  samt  khilāyā  jaa.e
aag  bahtī  hai  yahāñ  gañgā  meñ  jhelam  meñ  bhī
koī  batlā.e  kahāñ  jā  ke  nahāyā  jaa.e
pyaar  kā  ḳhuun  huā  kyuuñ  ye  samajhne  ke  liye
har  añdhere  ko  ujāle  meñ  bulāyā  jaa.e
mere  dukh-dard  kā  tujh  par  ho  asar  kuchh  aisā
maiñ  rahūñ  bhūkā  to  tujh  se  bhī  na  khāyā  jaa.e
jism  do  ho  ke  bhī  dil  ek  hoñ  apne  aise
merā  aañsū  terī  palkoñ  se  uThāyā  jaa.e
giit  anman  hai  ġhazal  chup  hai  rubā.ī  hai  dukhī
aise  māhaul  meñ  'nīraj'  ko  bulāyā  jaa.e