Gopaldas Neeraj

badan pe jis ke sharafat ka pairahan dekha

Gopaldas Neeraj

Etawah, Uttar pradesh, India

1925-2018
badan pe jis ke sharāfat kā pairahan dekhā
vo aadmī bhī yahāñ ham ne bad-chalan dekhā
ḳharīdne ko jise kam thī daulat-e-duniyā
kisī kabīr kī muTThī meñ vo ratan dekhā
mujhe milā hai vahāñ apnā hī badan zaḳhmī
kahīñ jo tiir se ghāyal koī hiran dekhā
baḌā na chhoTā koī farq bas nazar kā hai
sabhī pe chalte samay ek sā kafan dekhā
zabāñ hai aur bayāñ aur us kā matlab aur
ajiib aaj kī duniyā kā vyākaran dekhā
luTere Daaku bhī apne pe naaz karne lage
unhoñne aaj jo santoñ kā ācharan dekhā
jo sādgī hai kuhan meñ hamāre ai 'nīraj'
kisī pe aur bhī kyā aisā bāñkpan dekhā
Top Urdushayar.com