Marghoob Asar Fatmi

na koi dar na daricha magar makan to hai

Marghoob Asar Fatmi

Aurangabad, Bihar, India

1951

na koī dar na darīcha magar makān to hai

zamīñ hai zer-e-qadam sar pe āsmān to hai

hazār jalvoñ to rāz-dāñ hai ā.īna

huī na aañkh mayassar tujhe zabān to hai

badaltā rahtā hai rañg āsmān lamhoñ meñ

sitam-shi.ār abhī mujh se ḳhush-gumān to hai

ġham-e-hayāt se ghabrā ke tajarbe ke liye

chale jā.eñge ab dūsrā jahāñ to hai

tamām sahrā-o-dasht-o-jabal kaheñ labbaik

azal se phailī fazāoñ meñ ik azaan to hai

zahe-nasīb jagah thoḌī chashm-e-tar meñ milī

sulagtī dhuup meñ ik sard sā.ebān to hai

mohr-ba-lab huuñ pa shart-e-kalām qaa.em hai

mirī shakeb-e-ayāzī imtihān to hai

sa.uud fikr-e-taġhazzul ko bojh hai to rahe

har ek harf haqīqat tarjumān to hai

asar ke sher meñ husn-o-kashīsh hai taujīh

na.ī jihat na sahī zeb-e-dāstān to hai

Top Urdushayar.com