vo  kaash  vaqt  ke  pahre  ko  toḌ  kar  aate
jo  mahv-e-ḳhvāb  haiñ  un  ko  jhiñjhoḌ  kar  aate
na  uThtī  koī  nigāh-e-ġhalat  sar-e-mahfil
vo  apne  jalve  ko  ghar  apne  chhoḌ  kar  aate
udaas  āñkhoñ  ko  dekhā  to  ye  ḳhayāl  aayā
chaman  ke  phūloñ  se  shabnam  nichoḌ  kar  aate
asā-e-mūsā  kabhī  haath  lag  gayā  hotā
fir.aun-e-vaqt  kā  sar  ham  bhī  phoḌ  kar  aate
agar  thī  chehre  pe  raunaq  kī  aarzū  un  ko
musībatoñ  kī  kalā.ī  maroḌ  kar  aate
udhar  na  nikleñge  vo  nazar-e-bad  kā  ḳhadsha  hai
ḳhabar  ye  hotī  to  ham  āñkheñ  phoḌ  kar  aate
sunā  ki  aaj  bhī  dānishvaroñ  meñ  ḳhuub  machī
'asar'  bhī  aate  to  himmat  baTor  kar  aate