maz.hab-e-ishq  ke  irfān  pe  hairāñ  niklā
qais  jab  dasht  ko  niklā  to  pareshāñ  niklā
shiddat-e-shauq  meñ  sarmast-o-shādāñ  niklā
ġham-rasīda  bhī  agar  thā  to  ġhazal-ḳhvāñ  niklā
un  se  milne  kī  tamannā  liye  Dartā  hī  rahā
dil  ye  kāfir  mirā  dar-parda  musalmāñ  niklā
shaam  aa.ī  to  lab-e-la.alīñ  kī  shoḳhī  le  kar
mehr  bikhrāte  hue  la.al-e-badaḳhshāñ  niklā
jab  ki  parvāz-e-taḳhayyul  ne  bhī  sūrat  paalī
kitnā  be-ma.anī  sā  ab  taḳht-e-sulaimāñ  niklā
jaane  kab  chupke  se  āñkhoñ  ne  dar-e-dil  kholā
aayā  ik  baar  to  phir  ghar  se  na  mehmāñ  niklā
ḳhvāb  hī  achchhe  the  TuuTe  to  huā  ye  ifshā
jis  ko  gulzār  samajhte  the  bayābāñ  niklā
qaidī-e-husn  kī  sarkār  meñ  peshī  jo  huī
ishq  sarshār  thā  dīdār  kā  unvāñ  niklā
dā.ere  fikr  ke  mahdūd  hoñ  mumkin  hī  nahīñ
kab  'asar'  mo'tarif-e-tañgī-e-dāmāñ  niklā