āñkhoñ  ko  ashk-bār  kiyā  hai  kabhī  kabhī
yuuñ  terā  intizār  kiyā  hai  kabhī  kabhī
mahshar  ko  darkinār  kiyā  hai  kabhī  kabhī
tujh  par  jo  e.atibār  kiyā  hai  kabhī  kabhī
ḳhūn-e-jigar  se  ham  ne  guloñ  ko  nikhār  kar
gulshan  ko  pur-bahār  kiyā  hai  kabhī  kabhī
us  āstāna-e-nāz  se  nafrat  bhī  kī  magar
sajda  bhī  baar  baar  kiyā  hai  kabhī  kabhī
ham  ne  tumhārī  yaad  ke  dāġhoñ  se  bhar  ke  dil
dil-gashta-e-bahār  kiyā  hai  kabhī  kabhī
saaqī  ne  de  ke  jaam  kiyā  ham  ko  shādmāñ
vaa.iz  ne  sogvār  kiyā  hai  kabhī  kabhī
'marġhūb'  terī  dī  huī  dīvāngī  kā  faiz
hastī  ko  taar  taar  kiyā  hai  kabhī  kabhī