Zahid Chaudhry

wo bahr-o-bar mein nahin aur na aasman mein hai

Zahid Chaudhry

Amritsar, Punjab, India

1922-1985

vo bahr-o-bar meñ nahīñ aur na āsmāñ meñ hai

jo rāz-e-zīst mire shauq-e-be-karāñ meñ hai

mujhe qarār ba-juz shauq-e-be-qarār nahīñ

sukūn-e-zīst mujhe shoḳhī-e-butāñ meñ hai

mujhe qubūl nahīñ aisā rāz-e-sar-basta

jo chashm-e-aql se poshīda lā-makāñ meñ hai

mirī hayāt faqat justujū-e-paiham hai

mirā maqām sitāroñ ke kārvāñ meñ hai

maiñ āsmāñ meñ sitāroñ sair kartā huuñ

ye kyā surūr tire sañg-e-āstāñ meñ hai

mire vajūd meñ pinhāñ hai gauhar-e-yaktā

mirā vajūd nihāñ bahr-e-be-karāñ meñ hai

chaman meñ jabki nasheman banā chukā huuñ maiñ

ajab tarah chamak chashm-e-āsmāñ meñ hai

mire kalām se aayā hai barg-e-gul pe nikhār

mire nafas mahak saare gulistāñ meñ hai

vo lutf-e-zīst jo hai tund-o-tez tūfāñ meñ

vo shāḳh-e-gul pe nahīñ aur na āshiyāñ meñ hai

vo soz-o-sāz-e-haqīqat se āshnā hogī

vo zindagī jo hama-vaqt imtihāñ meñ hai

har ek lahza hai ik taaza valvala darkār

ajab tarah maza bahr-e-be-karāñ meñ hai

vo merī quvvat-e-īmāñ ik alāmat hai

jo shor-e-hashr bapā bazm-e-dushmanāñ meñ hai

Top Urdushayar.com