Zahid Chaudhry

nahin ye rasm-e-mohabbat ki ishtibah karo

Zahid Chaudhry

Amritsar, Punjab, India

1922-1985
nahīñ ye rasm-e-mohabbat ki ishtibāh karo
kiyā hai ishq to har haal meñ nibāh karo
nahīñ hai ishq to phir zindagī meñ kuchh bhī nahīñ
kisī se ishq karo aur be-panāh karo
karūñgā maiñ tirī mahfil kī raunaqeñ do-chand
merī taraf bhī agar lutf kī nigāh karo
sunā hai sair-e-chaman ko vo aa rahe haiñ aaj
junūn-e-shauq ko bar-vaqt intibāh karo
shi.ār-e-husn kī tauqīr kā taqāzā hai
marīz-e-ishq se tajdīd-e-rasm-o-rāh karo
mirī tarah na raho ālam-e-taḳhayyul meñ
mirī tarah na bharī zindagī tabāh karo
agar maqām hai matlūb bazm-e-ulfat meñ
ġham-e-firāq kī shiddat meñ zabt-e-āh karo
jahāñ meñ rasm-e-sitam nañg-e-ādmi.yat hai
sitam ke daur kī har chiiz ko tabāh karo
namāz-e-dīd ke anjām par mujhe dil kā
ye mashvara hai ki ab tauf-e-jalva-gāh karo
janāb-e-shaiḳh ko dekhā hai maiñ ne ḳhalvat meñ
agar yahī hai sharāfat to phir gunāh karo
shi.ār-e-makr-o-riyā maulvī se mat sīkho
na apne nāma-e-a.amāl ko siyāh karo
Top Urdushayar.com