nahīñ  ye  rasm-e-mohabbat  ki  ishtibāh  karo
kiyā  hai  ishq  to  har  haal  meñ  nibāh  karo
nahīñ  hai  ishq  to  phir  zindagī  meñ  kuchh  bhī  nahīñ
kisī  se  ishq  karo  aur  be-panāh  karo
karūñgā  maiñ  tirī  mahfil  kī  raunaqeñ  do-chand
merī  taraf  bhī  agar  lutf  kī  nigāh  karo
sunā  hai  sair-e-chaman  ko  vo  aa  rahe  haiñ  aaj
junūn-e-shauq  ko  bar-vaqt  intibāh  karo
shi.ār-e-husn  kī  tauqīr  kā  taqāzā  hai
marīz-e-ishq  se  tajdīd-e-rasm-o-rāh  karo
mirī  tarah  na  raho  ālam-e-taḳhayyul  meñ
mirī  tarah  na  bharī  zindagī  tabāh  karo
agar  maqām  hai  matlūb  bazm-e-ulfat  meñ
ġham-e-firāq  kī  shiddat  meñ  zabt-e-āh  karo
jahāñ  meñ  rasm-e-sitam  nañg-e-ādmi.yat  hai
sitam  ke  daur  kī  har  chiiz  ko  tabāh  karo
namāz-e-dīd  ke  anjām  par  mujhe  dil  kā
ye  mashvara  hai  ki  ab  tauf-e-jalva-gāh  karo
janāb-e-shaiḳh  ko  dekhā  hai  maiñ  ne  ḳhalvat  meñ
agar  yahī  hai  sharāfat  to  phir  gunāh  karo
shi.ār-e-makr-o-riyā  maulvī  se  mat  sīkho
na  apne  nāma-e-a.amāl  ko  siyāh  karo