Zahid Chaudhry

zulf-e-KHamdar mein nur-e-ruKH-e-zeba dekho

Zahid Chaudhry

Amritsar, Punjab, India

1922-1985
zulf-e-ḳhamdār meñ nūr-e-ruḳh-e-zebā dekho
chashm-e-baddūr mirā husn-e-tamannā dekho
ab vo ārā.ish-e-gesū se huā hai fāriġh
ab agar himmat-e-mūsā ho to jalva dekho
bahr-e-dīdār karo dīda-e-majnūñ paidā
jur.at-e-shauq se phir jalva-e-lailā dekho
aaj phir shauq-e-dil-e-zār kī qismat jaagī
aaj phir us ne mujhe pyaar se dekhā dekho
nigah-e-lutf se dekhā hai to Thahro kuchh der
ab mire dil ke dhaḌakne kā tamāsha dekho
jo masīhā.ī se aarī haiñ unheñ kyā ma.alūm
apne bīmār ko tum ḳhud hī ḳhudārā dekho
ḳhud chale aao abhī tār-e-nafas hai baaqī
ho nahīñ pā.egā phir dil kā mudāvā dekho
aa gayā hai vo yahāñ nūr-e-sahar kī mānind
khul gayā jabki mire dil kā darīcha dekho
be-sabab zulm kī āñdhī na chalāo mujh par
yuuñ ujaḌ jā.egā gulzār-e-tamannā dekho
tum ko kuchh yaad hai ghar ghar meñ mirā charchā thā
ab usī shahr meñ phirtā huuñ maiñ tanhā dekho
jo riyā-kār haiñ un se na baḌhāo peñgeñ
chashm-e-iḳhlās meñ ho jāoge rusvā dekho
jis kī bīnā.ī se ik shahr huā thā raushan
aaj be-nūr hai vo dīda-e-bīnā dekho
ye samajh lo ki vo hai ilm-o-hunar kā madfan
jab kisī shahr meñ tum ġhalba-e-mullā dekho
Top Urdushayar.com