Tifl Dara

har ek ke dukh pe jo ahl-e-qalam taDapta tha

Tifl Dara

har ik ke dukh pe jo ahl-e-qalam taḌaptā thā

ḳhud us apnā har ik dard us pe hañstā thā

maiñ aaj kyuuñ tah-e-dāmāñ bhī jal nahīñ saktā

mirā sho.ala havāoñ pe kal lapaktā thā

zamāne-bhar adāoñ ko sah rahā huuñ aaj

kabhī maiñ apnī adāoñ se bhī bigaḌtā thā

vo merī shakl se bezār ho rahā hai aaj

jo shaḳhs kal mirī āvāz ko tarastā thā

tamām shab jise baḳhshe the reshmī gesū

sahar huī to vo sar daar par laTaktā thā

mirī giraft meñ kaun-o-makāñ baag thī jab

mirā vajūd mirī ruuh se laraztā thā

har ik se Dartā huuñ maiñ aaj ik ḳhudā ke sivā

kabhī vo din the ki bas ik ḳhudā se Dartā thā

lo aaj ne bhī dīvāna kah diyā mujh ko

tire dil meñ to merā suḳhan utartā thā

ye kyā kiyā mujhe merī nazar se chhīn liyā

usī lahū se charāġh-e-vajūd jaltā thā

kisī sitam meñ bhī ik raunaq-e-ta.alluq hai

vagarna yuuñ to maiñ tanhā.iyoñ meñ Dhaltā thā

tirā sambhalnā bhī girnā hai in dinoñ 'dārā'

kahāñ vo din ki girne meñ bhī sambhaltā thā

Top Urdushayar.com