sukūt-e-shām kā hissa tū mat banā mujh ko
maiñ rañg huuñ so kisī mauj meñ milā mujh ko
maiñ in dinoñ tirī āñkhoñ ke iḳhtiyār meñ huuñ
jamāl-e-sabz kisī tajarbe meñ lā mujh ko
maiñ būḌhe jism kī zillat uThā nahīñ saktā
kisī qadīm tajallī se kar nayā mujh ko
maiñ apne hone kī takmīl chāhtā huuñ sakhī
so ab badan kī hirāsat se kar rihā mujh ko
mujhe charāġh kī hairat bhī ho chukī ma.alūm
ab is se aage koī rāsta batā mujh ko
us ism-e-ḳhās kī tarkīb se banā huuñ maiñ
mohabbatoñ ke talaffuz se kar nayā mujh ko
darūn-e-sīna jise dil samajh rahā thā 'alī'
vo niilī aag hai ye ab patā chalā mujh ko