sukūt-e-shām  kā  hissa  tū  mat  banā  mujh  ko
maiñ  rañg  huuñ  so  kisī  mauj  meñ  milā  mujh  ko
maiñ  in  dinoñ  tirī  āñkhoñ  ke  iḳhtiyār  meñ  huuñ
jamāl-e-sabz  kisī  tajarbe  meñ  lā  mujh  ko
maiñ  būḌhe  jism  kī  zillat  uThā  nahīñ  saktā
kisī  qadīm  tajallī  se  kar  nayā  mujh  ko
maiñ  apne  hone  kī  takmīl  chāhtā  huuñ  sakhī
so  ab  badan  kī  hirāsat  se  kar  rihā  mujh  ko
mujhe  charāġh  kī  hairat  bhī  ho  chukī  ma.alūm
ab  is  se  aage  koī  rāsta  batā  mujh  ko
us  ism-e-ḳhās  kī  tarkīb  se  banā  huuñ  maiñ
mohabbatoñ  ke  talaffuz  se  kar  nayā  mujh  ko
darūn-e-sīna  jise  dil  samajh  rahā  thā  'alī'
vo  niilī  aag  hai  ye  ab  patā  chalā  mujh  ko