tere aage sar-kashī dikhlā.uñgā?
tū to jo kah de vahī ban jā.ūñgā
ai zabūrī phuul ai niile gulāb
mat ḳhafā ho maiñ dobāra ā.ūñgā
saat sadiyāñ saat rāteñ saat din
ik pahelī hai kise samjhā.ūñgā
yaar ho jaa.e sahī tujh se mujhe
tere qabze se tujhe chhuḌvā.ūñgā
tum bahut ma.asūm laḌkī ho tumheñ
nazm bhejūñgā duā pahnā.ūñgā
koī dariyā hai na jañgal aur na baaġh
maiñ yahāñ bilkul nahīñ rah pā.ūñgā
yaad karvā.u.gā tujh ko tere zaḳhm
terī saarī ne.amateñ ginvā.uñgā
chhoḌnā us ke liye mushkil na ho
mujh se mat kahnā maiñ ye kar jā.ūñgā
maiñ 'alī'-zaryūn huuñ kaafī hai ye
maiñ zafar-iqbāl kyuuñ ban jā.ūñgā