man  jis  kā  maulā  hotā  hai
vo  bilkul  mujh  sā  hotā  hai
āñkheñ  hans  kar  pūchh  rahī  haiñ
niiñd  aane  se  kyā  hotā  hai
miTTī  kī  izzat  hotī  hai
paanī  kā  charchā  hotā  hai
jāntā  huuñ  mansūr  ko  bhī  maiñ
apne  hī  ghar  kā  hotā  hai
achchhī  laḌkī  zid  nahīñ  karte
dekho  ishq  burā  hotā  hai
vahshat  kā  ik  gur  hai  jis  meñ
qais  apnā  bachcha  hotā  hai
ba.az-auqāt  mujhe  duniyā  par
duniyā  kā  bhī  shub.h  hotā  hai
tum  mujh  ko  apnā  kahte  ho
kah  lene  se  kyā  hotā  hai