Ali Zaryoun

parai nind mein sone ka tajraba kar ke

Ali Zaryoun

1983
parā.ī niiñd meñ sone kā tajraba kar ke
maiñ ḳhush nahīñ huuñ tujhe ḳhud meñ mubtalā kar ke
usūlī taur pe mar jaanā chāhiye thā magar
mujhe sukūn milā hai tujhe judā kar ke
ye kyuuñ kahā ki tujhe mujh se pyaar ho jaa.e
taḌap uThā huuñ tire haq meñ bad-duā kar ke
maiñ chāhtā huuñ ḳharīdār par ye khul jaa.e
nayā nahīñ huuñ rakhā huuñ yahāñ nayā kar ke
maiñ jūtiyoñ meñ bhī baiThā huuñ puure maan ke saath
kisī ne mujh ko bulāyā hai iltijā kar ke
bashar samajh ke kiyā thā nā yuuñ nazar-andāz
le maiñ bhī chhoḌ rahā huuñ tujhe ḳhudā kar ke
to phir vo rote hue minnateñ bhī mānte haiñ
jo intihā nahīñ karte haiñ ibtidā kar ke
badal chukā hai mirā lams nafsiyāt us kī
ki rakh diyā hai use maiñ ne an-chuā kar ke
manā bhī lūñgā gale bhī lagā.ūñgā maiñ 'alī'
abhī to dekh rahā huuñ use ḳhafā kar ke
Top Urdushayar.com