Izhar Asar

mera junun hi asl mein sahra-parast tha

Izhar Asar

1929

merā junūñ asl meñ sahrā-parast thā

varna bahār bhī yahāñ bandobast thā

aayā shu.ūr-e-zīst to ifshā huā ye raaz

tere kalām-e-fan maiñ pahlī shikast thā

auroñ ne kar liye the añdheroñ se faisle

ik maiñ saare shahr meñ sūraj-ba-dast thā

ik chīḳhte sukūt ne chauñkā diyā mujhe

maiñ varna apne haal meñ muddat se mast thā

ā.īna jab dikhāyā to ye raaz bhī khulā

jitnā bhī jo buland thā utnā past thā

taḳhlīq-e-kul ke lamha-e-avval meñ ai 'asar'

maiñ zindagī pahlī humak pahlī jast thā

Top Urdushayar.com