marhale  ziist  ke  āsān  hue
shahr  kuchh  aur  bhī  vīrān  hue
aas  lagāo  pe  har  ik  shaḳhs  se  laag
thī  na.ī  baat  ki  hairān  hue
vo  nazar  uThne  lagī  dil  kī  taraf
hādse  ab  mire  armān  hue
aap  ko  ham  se  shikāyat  kaisī
ham  to  ġhāfil  hue  nādān  hue
dil-e-vārafta  kī  bāteñ  'bāqī'
yaad  kar  kar  ke  pashemān  hue