dāġh-e-dil  ham  ko  yaad  aane  lage
log  apne  diye  jalāne  lage
kuchh  na  pā  kar  bhī  mutma.in  haiñ  ham
ishq  meñ  haath  kyā  ḳhazāne  lage
yahī  rasta  hai  ab  yahī  manzil
ab  yahīñ  dil  kisī  bahāne  lage
ḳhud-farebī  sī  ḳhud-farebī  hai
paas  ke  Dhol  bhī  suhāne  lage
ab  to  hotā  hai  har  qadam  pe  gumāñ
ham  ye  kaisā  qadam  uThāne  lage
is  badalte  hue  zamāne  meñ
tere  qisse  bhī  kuchh  purāne  lage
ruḳh  badalne  lagā  fasāne  kā
log  mahfil  se  uTh  ke  jaane  lage
ek  pal  meñ  vahāñ  se  ham  uTThe
baiThne  meñ  jahāñ  zamāne  lage
apnī  qismat  se  hai  mafar  kis  ko
tiir  par  uḌ  ke  bhī  nishāne  lage
ham  tak  aa.e  na  aa.e  mausam-e-gul
kuchh  parinde  to  chahchahāne  lage
shaam  kā  vaqt  ho  gayā  'bāqī'
bastiyoñ  se  sharār  aane  lage