Baqi Siddiqui

dil jins-e-mohabbat ka KHaridar nahin hai

Baqi Siddiqui

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1905-1972
dil jins-e-mohabbat kā ḳharīdār nahīñ hai
pahlī sī vo ab sūrat-bāzār nahīñ hai
har baar vahī soch vahī zahr kā sāġhar
is par ye sitam-e-jur.at-e-inkār nahīñ hai
kuchh uTh ke bagūloñ kī tarah ho ga.e raqsāñ
kuchh kahte rahe rāsta hamvār nahīñ hai
dil Duub gayā lazzat-e-āġhosh-e-sahar meñ
bedār hai is tarah ki bedār nahīñ hai
ham is se matā-e-dil-o-jāñ maañg rahe haiñ
jo ek tabassum kā ravādār nahīñ hai
ye sar se nikaltī huī logoñ kī fasīleñ
dil se magar ūñchī koī dīvār nahīñ hai
dam saadh ke baiThā huuñ agarche mire sar par
ik shāḳh-e-samar-dār hai talvār nahīñ hai
dam lo na kahīñ dhuup meñ chalte raho 'bāqī'
apne liye ye sāya-e-ashjār nahīñ hai
Top Urdushayar.com