Baqi Siddiqui

wo nazar aaina-fitrat hi sahi

Baqi Siddiqui

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1905-1972
vo nazar ā.īna-fitrat hī sahī
mujhe hairat hai to hairat hī sahī
zindagī dāġh-e-mohabbat hī sahī
aap se duur kī nisbat hī sahī
tum na chāho to nahīñ kaT saktī
ek lamhe kī masāfat hī sahī
dil mohabbat kī adā chāhtā hai
ek aañsū dam-e-ruḳhsat hī sahī
āb-e-haivāñ bhī nahīñ mujh pe harām
zahr kī mujh ko zarūrat hī sahī
apnī taqdīr meñ sannāTā hai
ek hañgāme kī hasrat hī sahī
is qadar shor-e-tarab kyā ma.anī
jāgne kī mujhe aadat hī sahī
bazm-e-rindāñ se ta.alluq kaisā
aap kī mez pe sharbat hī sahī
hadd-e-manzil hai muqarrar 'bāqī'
rahrav-e-shauq ko ujlat hī sahī
Top Urdushayar.com