Baqi Siddiqui

rang-e-dil rang-e-nazar yaad aaya

Baqi Siddiqui

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1905-1972
rañg-e-dil rañg-e-nazar yaad aayā
tere jalvoñ kā asar yaad aayā
vo nazar ban ga.ī paiġhām-e-hayāt
halqa-e-shām-o-sahar yaad aayā
ye zamāna ye dil-e-dīvāna
rishta-e-sañg-o-guhar yaad aayā
ye nayā shahr ye raushan rāheñ
apnā andāz-e-safar yaad aayā
raah kā ruup banī dhuup apnī
koī saaya na shajar yaad aayā
kab na us shahr meñ patthar barse
kab na us shahr meñ sar yaad aayā
ghar meñ thā dasht-navardī kā ḳhayāl
dasht meñ aa.e to ghar yaad aayā
gard uḌtī hai sar-e-rāh-e-ḳhayāl
dil-e-nādāñ kā safar yaad aayā
ek hañstī huī badlī dekhī
ek jaltā huā ghar yaad aayā
is tarah shaam ke saa.e phaile
raat kā pichhlā pahar yaad aayā
phir chale ghar se tamāshā ban kar
phir tirā rauzan-e-dar yaad aayā
kisī patthar kī haqīqat hī kyā
dil kā ā.īna magar yaad aayā
aañch dāmān-e-sabā se aa.ī
e.atibār-e-gul-e-tar yaad aayā
dil jalā dhuup meñ aisā ab ke
paañv yaad aa.e na sar yaad aayā
gar paḌe haath se kāġhaz 'bāqī'
apnī mehnat kā samar yaad aayā
Top Urdushayar.com