kyā  patā  ham  ko  milā  hai  apnā
aur  kuchh  nashsha  chaḌhā  hai  apnā
kaan  paḌtī  nahīñ  āvāz  koī
dil  meñ  vo  shor  bapā  hai  apnā
ab  to  har  baat  pe  hotā  hai  gumāñ
vāqi.a  koī  sunā  hai  apnā
har  bagūle  ko  hai  nisbat  ham  se
dasht  tak  saaya  gayā  hai  apnā
ḳhud  hī  darvāze  pe  dastak  dī  hai
ḳhud  hī  dar  khol  diyā  hai  apnā
dil  kī  ik  shāḳh-e-burīda  ke  sivā
chaman-e-dahr  meñ  kyā  hai  apnā
koī  āvāz  koī  hañgāma
qāfila  rukne  lagā  hai  apnā
apnī  āvāz  pe  chauñk  uThtā  hai
dil  meñ  jo  chor  chhupā  hai  apnā
kaun  thā  madd-e-muqābil  'bāqī'
ḳhud  pe  hī  vaar  paḌā  hai  apnā