is  kār-e-gah-e-rang  meñ  ham  tañg  nahīñ  kyā
jo  sar  pe  lagā  hai  abhī  vo  sañg  nahīñ  kyā
tasvīr  ko  tasvīr  dikhā.ī  nahīñ  jaatī
is  ā.ina-ḳhāne  meñ  nazar  dañg  nahīñ  kyā
hai  halqa-e-jāñ  apnī  vafāoñ  kā  tasavvur
is  daaġh  se  aage  koī  farsañg  nahīñ  kyā
har  baat  pe  ham  dete  haiñ  ġhairoñ  kā  havāla
apnā  koī  āhañg  koī  rañg  nahīñ  kyā
baḳhshe  hue  ik  ghūñT  pe  ham  jhuum  rahe  haiñ
ab  maañg  ke  piinā  bhī  koī  nañg  nahīñ  kyā
zaḳhm-e-dil-e-betāb  hai  hāthoñ  meñ  nivāla
is  baat  pe  duniyā  se  mirī  jañg  nahīñ  kyā
vo  rañg  nahīñ  sho.ala-e-ehsās  meñ  'bāqī'
ham  sāz-e-tamannā  se  ham-āhañg  nahīñ  kyā