vo  maqām-e-dil-o-jāñ  kyā  hogā
tū  jahāñ  āḳhirī  pardā  hogā
manzileñ  rāsta  ban  jaatī  haiñ
DhūñDne  vāloñ  ne  dekhā  hogā
saa.e  meñ  baiThe  hue  sochte  haiñ
kaun  is  dhuup  meñ  chaltā  hogā
terī  har  baat  pe  chup  rahte  haiñ
ham  sā  patthar  bhī  koī  kyā  hogā
abhī  dil  par  haiñ  jahāñ  kī  nazreñ
aa.ina  aur  bhī  dhundlā  hogā
rāz-e-sar-basta  hai  mahfil  terī
jo  samajh  legā  vo  tanhā  hogā
is  tarah  qat-e-ta.alluq  na  karo
is  tarah  aur  bhī  charchā  hogā
ba.ad  muddat  ke  chale  dīvāne
kyā  tire  shahr  kā  naqsha  hogā
sab  kā  muñh  takte  haiñ  yuuñ  ham  jaise
koī  to  baat  samajhtā  hogā
phuul  ye  soch  ke  khil  uThte  haiñ
koī  to  dīda-e-bīnā  hogā
ḳhud  se  ham  duur  nikal  aa.e  haiñ
tere  milne  se  bhī  ab  kyā  hogā
ham  tirā  rāsta  takte  hoñge
aur  tū  sāmne  baiThā  hogā
ḳhud  ko  yaad  aane  lage  ham  'bāqī'
phir  kisī  baat  pe  jhagḌā  hogā