palkoñ  pe  le  ke  bojh  kahāñ  tak  phirā  karūñ
ai  ḳhvāb-e-rā.egāñ  maiñ  batā  terā  kyā  karūñ
vo  hai  ba-zid  usī  pe  ki  maiñ  iltijā  karūñ
kuchh  to  batā  ai  merī  anā  ab  maiñ  kyā  karūñ
paane  kī  jidd-o-johd  meñ  umreñ  guzar  ga.iiñ
ik  baar  tujh  ko  khone  kā  bhī  hausla  karūñ
har  aane  vaalā  bazm  meñ  terī  hai  mohtaram
tāzīm  ko  maiñ  sab  kī  kahāñ  tak  uThā  karūñ
har  ik  varaq  hai  tujh  se  shurūa  is  kitāb  kā
tū  hī  batā  kahāñ  se  maiñ  ab  ibtidā  karūñ
hai  zer-e-ġhaur  apnī  hī  chāhat  kā  ehtisāb
terī  vafā  pe  kyā  maiñ  abhī  tabsira  karūñ