vaqt  ke  hāthoñ  ne  jab  tak  ki  na  ḳhāmosh  kiyā
maiñ  ne  tujh  ko  na  kisī  lamha  farāmosh  kiyā
is  kī  chāhat  ne  sañvarne  kā  salīqa  baḳhshā
shahr  ke  shahr  ko  us  shaḳhs  ne  ḳhush-posh  kiyā
hijr  ke  sadme  bahut  baḳhshe  ye  sach  hai  lekin
lazzat-e-vasl  se  bhī  us  ne  ham-āġhosh  kiyā
vaqt  kī  dhuul  ne  kajlā  diye  sūraj  kitne
kaise  kaisoñ  ko  zamāne  ne  farāmosh  kiyā
terī  qurbat  ne  sikhā.ī  thī  mujhe  mai-noshī
aur  furqat  ne  tirī  mujh  ko  balā-nosh  kiyā
kyā  milā  tark-e-ta.alluq  se  bhī  mujh  ko  'jāved'
yaad  ne  chhoḌā  na  ġham  hī  ne  subuk-dosh  kiyā