maiñ  bhī  aage  baḌhūñ  aur  bhiiḌ  kā  hissa  ho  jā.ūñ
is  se  achchhā  to  yahī  hai  ki  maiñ  tanhā  ho  jā.ūñ
pyaas  ko  merī  jo  ik  jaam  na  de  paayā  kabhī
tishnagī  us  kī  ye  kahtī  hai  maiñ  dariyā  ho  jā.ūñ
mujh  ko  jakḌe  hue  rishtoñ  kī  haqīqat  mat  pūchh
bas  chale  merā  agar  to  maiñ  akelā  ho  jā.ūñ
le  ke  jā.ūñ  kahāñ  ehsās-e-vafādārī  ko
dil  to  kahtā  hai  ki  maiñ  bhī  tire  jaisā  ho  jā.ūñ
ho  kisī  taur  to  duniyā  kī  tavajjoh  mujh  par
ek  do  pal  ke  liye  maiñ  bhī  tamāshā  ho  jā.ūñ
dil  kī  majbūrī  ajab  chiiz  hai  varna  'jāved'
kaun  chāhegā  bhalā  ḳhud  ki  maiñ  rusvā  ho  jā.ūñ