ba.ad  muddat  ke  tirī  yaad  ke  bādal  barse
vo  bhī  aise  ki  ka.ī  roz  musalsal  barse
muntazir  aur  bhī  sahrā  haiñ  isī  bādal  ke
sirf  tujh  par  hī  bhalā  kaise  ye  har  pal  barse
pyaas  is  shahr  kī  bujhne  kā  yahī  rasta  hai
ban  ke  bādal  kisī  darvesh  kī  chhāgal  barse
lag  ga.ī  kis  kī  nazar  shahr-e-nigārāñ  ko  mire
ab  to  har  shaam  yahāñ  vahshat-e-maqtal  barse
kab  kī  pyāsī  hai  zamīñ  ye  bhī  nazar  meñ  rakkhe
kah  do  bādal  se  zarā  der  musalsal  barse
lab-kushā  ho  ki  mahak  uTThe  fazā  kā  ye  sukūt
muntazir  kab  se  samā.at  hai  ki  sandal  barse