Raz ehtisham

ye khai masale ka hal nahin hai

Raz ehtisham

1994
ye khaa.ī mas.ale kā hal nahīñ hai
judā.ī mas.ale kā hal nahīñ hai
zamīnī mas.aloñ kā hal nikālo
khudā.ī mas.ale kā hal nahīñ hai
laḌā.ī hī hamārā mas.ala hai
laḌā.ī mas.ale kā hal nahīñ hai
tū phir se aa gayā hai muñh uThā ke
o bhaa.ī mas.ale kā hal nahīñ hai
unheñ duniyā meñ jiinā bhī sikhāo
rihā.ī mas.ale kā hal nahīñ hai
in īñToñ ko samundar-burd kar do
tarā.ī mas.ale kā hal nahīñ hai
lagāo soch kī gardan ko phandā
ye tie mas.ale kā hal nahīñ hai
Top Urdushayar.com