dam-bhar  kī  ḳhushī  bā.is-e-āzār  bhī  hogī
is  raah  meñ  saaya  hai  to  dīvār  bhī  hogī
sadiyoñ  se  jahāñ  jis  ke  ta.āqub  meñ  ravāñ  hai
vo  sā.at-e-sad-rañg  giraftār  bhī  hogī
rañgoñ  kī  ridā  oḌh  ke  us  reg-e-ravāñ  par
utrī  hai  jo  shab  vo  shab-e-dīdār  bhī  hogī
iThlā.egā  palkoñ  pe  kabhī  sub.h  kā  taarā
bedār  kabhī  nargis-e-bīmār  bhī  hogī
kahtā  hai  mire  kaan  meñ  ḳhushbū  kā  payāmī
muñh-band  kalī  mā.il-e-guftār  bhī  hogī
saa.e  se  lipaT  jā.eñge  paañv  se  ba-har-gām
rusvā.ī  kuchh  apnī  sar-e-bāzār  bhī  hogī
ai  shab  na  kaTegī  tire  siine  kī  siyāhī
ik  shoḳh  kiran  muft  gunahgār  bhī  hogī
sunte  haiñ  ki  har  sub.h  ke  hāthoñ  meñ  'rashīd'  ab
zahrāb  meñ  Duubī  huī  talvār  meñ  hogī