ye  zāviya  sūraj  kā  badal  jā.egā  sā.īñ
saaya  hai  magar  saaya  to  Dhal  jā.egā  sā.īñ
ḳhud  aap  ke  hāthoñ  kā  tarāshā  huā  lamha
ḳhud  aap  ke  hāthoñ  se  phisal  jā.egā  sā.īñ
ye  barf-badan  aap  kā  aur  mom  kā  maskan
is  dhuup  nagar  meñ  to  pighal  jā.egā  sā.īñ
sāhil  na  rahegā  tahī-dāmāñ  ki  samundar
ik  din  koī  motī  bhī  ugal  jā.egā  sā.īñ
jo  raakh  huā  jism  vo  lau  dene  lagegā
jo  diip  bujhāyā  hai  vo  jal  jā.egā  sā.īñ
is  shahr-e-dil-āvez  meñ  dil  vāloñ  kā  sikka
pahle  bhī  chalā  aaj  bhī  chal  jā.egā  sā.īñ
manzil  hī  tirī  yaar  'rashīd'  aur  nahīñ  hai
tū  jab  bhī  gayā  chāñd  mahal  jā.egā  sā.īñ