kuchh  saa.e  se  har  lahza  kisī  samt  ravāñ  haiñ
is  shahr  meñ  varna  na  makīñ  haiñ  na  makāñ  haiñ
ham  ḳhud  se  judā  hauke  tujhe  DhūñDne  nikle
bikhre  haiñ  ab  aise  ki  yahāñ  haiñ  na  vahāñ  haiñ
jaatī  haiñ  tire  ghar  ko  sabhī  shahr  kī  rāheñ
lagtā  hai  ki  sab  log  tirī  samt  ravāñ  haiñ
ai  mauja-e-āvāra  kabhī  ham  se  bhī  Takrā
ik  umr  se  ham  bhī  sar-e-sāhil  nigarāñ  haiñ
simTe  the  kabhī  ham  to  samā.e  sar-e-mizhgāñ
phaile  haiñ  ab  aise  ki  karāñ  tā-ba-karāñ  haiñ
tū  DhūñD  hameñ  vaqt  kī  dīvār  ke  us  paar
ham  duur  bahut  duur  kī  manzil  kā  nishāñ  haiñ
ik  din  tire  āñchal  kī  havā  ban  ke  uḌe  the
us  din  se  zamāne  kī  nigāhoñ  pe  garāñ  haiñ
toḌo  na  hamāre  liye  āvāz  kā  āhañg
ham  log  to  ik  Dūbte  lamhe  kī  fuġhāñ  haiñ
vo  jin  se  farozāñ  huā  ik  ālam-e-imkāñ
vo  chāñd-sifat  log  'rashīd'  aaj  kahāñ  haiñ