baat  sūraj  kī  koī  aaj  banī  hai  ki  nahīñ
vo  jo  ik  raat  musalsal  thī  kaTī  hai  ki  nahīñ
tere  hāthoñ  meñ  to  ā.īna  vahī  hai  ki  jo  thā
sochtā  huuñ  mirā  chehra  bhī  vahī  hai  ki  nahīñ
mujh  ko  Takrā  ke  ba-har-hāl  bikharnā  thā  magar
vo  jo  dīvār  sī  haa.il  thī  girī  hai  ki  nahīñ
us  kā  chehra  hai  ki  mahtāb  vo  āñkheñ  haiñ  ki  jhiil
baat  us  baat  se  aage  bhī  chalī  hai  ki  nahīñ
apne  pahlū  meñ  humakte  hue  saa.e  na  sajā
kyā  ḳhabar  un  se  ye  milne  kī  ghaḌī  hai  ki  nahīñ
habs  chehroñ  pe  to  sadiyoñ  se  musallat  hai  magar
koī  āñdhī  bhī  kisī  dil  meñ  uThī  hai  ki  nahīñ
pūchhtā  phirtā  huuñ  maiñ  bhāgtī  kirnoñ  se  'rashīd'
us  bhare  shahr  meñ  apnā  bhī  koī  hai  ki  nahīñ