chāhat  kā  sansār  hai  jhūTā  pyaar  ke  sāt-samundar  jhuuT
saarī  duniyā  bol  rahī  hai  kitne  sundar  sundar  jhuuT
ashkoñ  ko  motī  kahtā  huuñ  ruḳhsāroñ  ko  phuul
maiñ  lafzoñ  kā  saudāgar  huuñ  mere  bāhar  andar  jhuuT
khoTe  sikke  le  kar  ghūmeñ  ham  donoñ  bāzāroñ  meñ
terī  aañkh  ke  motī  jhūTe  mere  man  kā  mandir  jhuuT
maiñ  ne  kahā  jalvoñ  kā  maskan  ujle  chehre  ūñchī  zaat
sab  ne  kahā  tum  sach  kahte  ho  bolā  ek  qalandar  jhuuT
duniyā  bhar  meñ  ek  haqīqat  sachchā  ek  vajūd  'rashīd'
varna  saare  jañgal  parbat  sahrā  aur  samundar  jhuuT