Rasheed Qaisrani

pani ki tarah ret ke sine mein utar ja

Rasheed Qaisrani

1930-2010
paanī kī tarah ret ke siine meñ utar jā
yā phir se dhuāñ ban ke ḳhalāoñ meñ bikhar jā
lahrā kisī chhitnār pe o miit havā ke
sūkhe hue pattoñ se dabe paañv guzar jā
chaḌhtī huī is dhuup meñ saaya to Dhalegā
ehsān koī ret kī dīvār pe dhar jā
bujhtī huī ik shab kā tamāshā.ī huuñ maiñ bhī
ai sub.h ke taare mirī palkoñ pe Thahar jā
lahrā.egā ākāsh pe sadiyoñ tirā paikar
ik baar mirī ruuh ke sāñche meñ utar jā
is ban meñ rahā kartī hai parchhā.īñ sadā kī
ai raat ke raahī tū zarā tez guzar jā
us paar chalā hai to 'rashīd' apnā asāsa
behtar hai kisī aañkh kī dahlīz pe dhar jā
Top Urdushayar.com