paanī  kī  tarah  ret  ke  siine  meñ  utar  jā
yā  phir  se  dhuāñ  ban  ke  ḳhalāoñ  meñ  bikhar  jā
lahrā  kisī  chhitnār  pe  o  miit  havā  ke
sūkhe  hue  pattoñ  se  dabe  paañv  guzar  jā
chaḌhtī  huī  is  dhuup  meñ  saaya  to  Dhalegā
ehsān  koī  ret  kī  dīvār  pe  dhar  jā
bujhtī  huī  ik  shab  kā  tamāshā.ī  huuñ  maiñ  bhī
ai  sub.h  ke  taare  mirī  palkoñ  pe  Thahar  jā
lahrā.egā  ākāsh  pe  sadiyoñ  tirā  paikar
ik  baar  mirī  ruuh  ke  sāñche  meñ  utar  jā
is  ban  meñ  rahā  kartī  hai  parchhā.īñ  sadā  kī
ai  raat  ke  raahī  tū  zarā  tez  guzar  jā
us  paar  chalā  hai  to  'rashīd'  apnā  asāsa
behtar  hai  kisī  aañkh  kī  dahlīz  pe  dhar  jā