uTh  ga.ī  aaj  chāñd  kī  Dolī
kitnī  vīrāñ  hai  raat  kī  jholī
apnā  saaya  sameT  kar  rakhnā
mujh  se  ik  bhāgtī  kiran  bolī
ab  to  jaag  ai  shaboñ  kī  shahzādī
tujh  ko  sonā  thā  umr-bhar  so  lī
saañs  roko  charāġh  gul  kar  do
aaj  badlegī  chāñdnī  cholī
maiñ  huuñ  sāthī  sulagte  sahrā  kā
tū  ThiThurtī  kiran  kī  ham-jolī
ek  dariyā  sambhal  sambhal  ke  chalā
ek  kashtī  qadam  qadam  Dolī
āsmāñ  tū  abhī  zamīñ  pe  na  aa
maiñ  ne  muTThī  abhī  nahīñ  kholī
kab  talak  koī  dil  pe  kaan  dhare
kaun  samjhe  'rashīd'  kī  bolī